Dosto Photoshop ke bare me Aap ne kahi bar suna hoga ,istimal bhi kiya hoga par Aap chahte ho ki Photoshop me Aap master ho ya Photoshop se paise kama sake to tum ekdam Sahi Website par Aaye ho , humari website tumhe Photoshop se Judi hur bath Batane ki koshish karegi ,hum Chahte hai ki Humare Site par Aaya huya Viewr kabhi Nirash na Jaye ! Use kuch -na -kuch Sikhne ka moka mile ! Technology Aur physiology ke nam Se Bani Huyi Website Sirfe Tumhare Liye Bani gayi hai Esiliye Me Aur mere puri team ki Aur se humare Site par tumhara Swagat karte hai
Jab hum Photoshop Open karte hai Tab Ek pop-up Box Aata hai ,kahi log use Skeep karte hai to kahi log cancel , Kya hai ye pop-up box , Aagar Ye Saval tumhare Dil me Aata ho to humara post padhete rahe Aur share karte rahe :)
Dosto ye Pop-up box ka matlab hai ki kya tum tumhare project /ya design ke liye jo page open karoge bo konse format me hona chahiye , Uski setting kya honi chahiye ! jis tarah hum koe panting karte hai tab Sabse pehla hum kya dekhte hai ! humara page ka Size kitna hona chahiye , humare pass Color hona chahiye , humare Painting ka title hona chahiye ,, Agar tum professional ho to ye bate Value Rakhti hai ,nahi to Kam chalau log Duniya me Vaise bhi kam nahi hai !
usi tarah jab tum Photoshop me New Project ya design karana Chahte ho to ye page Setting box Aata haijis me hume Humare Project ke liye page setting karni padhti hai ( Sidhe Bhacha me Kahu to Paint ke liye page select karne jaise )
Name : ( Aap kis nam Se Project bana na chahte ho bo Nam Yaha Dal Sakte ho )
- Preset :- ( yaha Aap Aapke Project page ka format Rakh Sakte ho jaise ki
- Default Photoshop Size
- us paper international paper
- photo
- Web
- mobile Devices
- Film-video
- custome
Dosto Aap Niche Diye Image me Dekh sakte ho ki hur page me koe na koe farak hai -Usi tarah Aap Aapne project ke Nusar Aacha format Choose kar lo
![]() |
paper margin |
Width :- hum Width Size Set karte Page ki Coudae Set kar sakte hai ( Par Aap preset Se Page Select kar rahe ho to Eski jarurath nahi hai bo khud hi page Width Aur height le leta hai
height:- Yaha Se Hum page ki "Unchae" set kar sakte hai
Resolution :- Se Hum page ke clarity Set karte hai Agar Tum Digital Media ke liye image bana rahe ho to 72 pix bahot hota hai ! ( Digital media yane :- Computer ,mobile , i-pad , Web-page ) par Aap image printing ke liye bana na chahte ho to 72 Pix Support nahi karegi tumhe 300 pix ke Upper Rakhna padega .
Color Mode :- Color mode ke bare me jan ne ke Niche Diye huye Link par Click karo
RGB Aur CMYK Color Mode Yane Kya ?
"Advance Me kuch karne ki jarurath nahi hai bo jaise hai vaise hi rehne do " Abb Ok button par Click karte hi tumhare Samne New White Page Create Hoga jis me Tum image bana Sakte ho
दोस्तों हमारा पोस्ट आपको कैसे लगा ये हमे कॉमेंट द्वारा बताये और शेयर करना ना भूले !
धन्यवाद
0 comments:
Post a Comment
Humare Website me Aapka Swagat hai !