Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Thursday, 17 December 2015

No Display Motherboard Kaise Repair kare

ad+1




Dosto Computer ki No display Aane  ke kahi vajah ho sakte hai ! jaise ki RAM , SMPS , Power Cable , Aur Last me motherboard  Aagr Tum ne dhyan se Dekha ho to Most of Time RAM kharab hone ke vajah Se  NO Display  Error Aati hai ! Aur use Vact hame Ram Change karana Padta hai aur Hamara Computer Start ho ta hai !  par kahi bar Ram change karne Se bhi  hamara Computer Display nahi deta hai ! to chalo jante hai  motherboard kaise repair kare hindi me



Motherboard Repair in Hindi > 1) RAM




 

No display ka sabse bada karan hai ! RAM ( Random Access Memory ) Agar hamare Ram me koe problem ho to Motherboard bo Ram Accept nahi kar ti hai ! Aur continues Beep deni shuru karti hai ! yese vact hame RAM par jama huyi carbon ko Ache cotton ke kapdo se ya Rubber se saff karna Chahiye  ! Aur fir se RAM Slot me Insert kar ke Dekhe Aapka Motherboard Ram accept kar lega 


2)  Memory slots



Memory Slots  ke kharabi ke Karan  bhi Motherboard RAM Accept nahi karta hai ! Memory Slote ke Aanadar jo pins Hote hai ! usme bhi kahi bar dust ke vajese Carbon Jama hoti hai ! to Ese Aache Brush Se Saff kar lo Aur IP liquid ka Estimal karo Aur Ram insert karo Ram Accept ho jayegi


3) Capacitors


Motherboard Repair in Hindi

kahi bar Capacitor Purane hone ke karan Over hit hokar leak hone lagte hai ! ya kharab ho jate hai  uske vajah se bhi Mother board Ram Accept nahi karti hai ! to use vact hame bo capacitor ko replace karna padta hai to jakar RAM motherboard par Connect ho kar No display ka  problem Solve ho jata hai !


 Dosto Aap dhyan Se Dekh sakte ho ki RAM Slots ke baju me hi kuch capacitor  hoge ! unke true Ram ko power Supply hoti hai to unn Faulty Capacitor ko  Replace kar ke vaha New Same Volts ke Capacitor laga lo jis se Aapke RAm ko power milegi Aur RAM motherboard par Accept kiya jayega
( Capacitor Koe bhi Electronic ke Shop me mil jayege )



4) MOSFET




Agar Capacitor Change karne ke  bavjudh bhi  No Display Aa raha hai to hame MOSFET  IC check karna padega jiska Kam Same Capacitor ke tarah hi hota hai ! bo RAM Ko Power Supply Deti hai  kahi bar  MOSFET Over hit ke vajah Se Open ho jata hai yese vact multimeter Se MOSFET ki  quantity  Check karo Aur unke Pins Ko Pest ke dwara fir se Soldering kare ya  Replace karo  Apka kam Ho jayega


5) RAM controling IC





MOSFET Change karne ke badh bhi Same Problem ho to Ram controling IC ke PINS par pest laga kar Soldering kare , ya Use Nikal Kar Unke Pins Saff Karke Fir Se Motherboard par Reinstall Kare ...


Dosto En Sab Kamo ke badh Aapka Motherboard RAM Ko Accept Kar Hi lega !  ye Sab No Display ke Men karan hai jiske vajah Se Aapka Display Show nahi hota hai ! Aagar Fir bhi Same Error hoga to Aapko Motherboard Ke upper Chote-Chote capacitor jo ek-sath Line me Lage hote Jo Kisi chiti ke jaise Dikhate hai unki  quantity check karna hoga Aur unhe proper Sold karna padega ,


Fir bhi problem Hogi to Last option Graphic IC  Reboiling  karna padega Fir Apaka Motherboard Repair ho jayega


Dosto Aapka Hamara Hindi me motherboard kaise repair kare pasant Aaya ho to comment karo Aur Sahre kare

1 comment:

  1. arohi mera laptop chalte chalte band ho gaya jab mai adapter ko lagata hu to laptop ke pin me to green light hai vo band ho jata hai or laptop on nahi ho raha hai mai kya karu AAP meri help kar sakte hai kya problems hai please bataiye.

    ReplyDelete

Humare Website me Aapka Swagat hai !

Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates