Hi dosto Hindi me Computer Aur Technology ke Dunia me Aapka Swagat hai ! Jis Tarah Computer ke User Badhte Ja rahe hai Usi tarah Unke Problem bhi badhte ja rahe hai! Saval ye uth ta hai ki ye problem kaise Solve kiya jaye ! tum me se kahi log khud hai Problem Solve karne ki koshish karte hai to koe log Engineer ka Sahara lete hai ! to kyu na hum kud hi Ess Technology ko jan kar khudka Computer khud hi Repair kare !!Jis se tumhara Computer Aur Technology ka knowledge bhi badhega aur paise bhi bachege
Logonki jarrorath Aur Computer Problems Dekh kar Humne About2pc.com Site banayi hai jis me Computer ,Networking, Mobile, Blog, aur Aise Kahi Sare Samsya ka Samadhan Aap Hindi me Prapt kar sakte ho ! Aagar Aap bhi Computer aur Technology me Update Rehna Chahte ho to Hume Abhi Follow kare
Aaj hum janenge ki Computer kaise format kare in hindi , Dosto kahi logonka muze mail Aata hai ki Sir Window Xp kaise install kare , Window 7 kaise Install kare , kaise hum Window Format kar sakte hai
to tumhari Jaroorath dekh kar humne Aaj ka Post banaya hai jis me Hum Batayenge ki kaise hum Computer ko Format kar ke Window 7 install kar sakte hai !
Window 7 hardware Requirement
> 1GHz 32bit(x86) or 64bit(x64) Processor
> 1GB RAM( System memory)
> 40GB Free Space in Hard Disk drive with at least 15 GB of free Space
> A graphic Adapter Which Support Direct x9 graphics ,has a window Display Driver model driver,Pixel Shader 2.0 Hardware and 32 bit per pixel and a minimum of 128 Mb Graphic Memory ( Aapko hardware Requirement me Koe bhi Parishani ho to hume niche Comment kar do hum Aapki jaroor sahayta karenge :)
Dosto Computer Formate Karne Ke pehla tumhe Computer ka Backup lena bahoot jaroori hai ! bakup yane Bo data jo tumhare Desktop Aur my Document me pada hota hai ! kyu ki hum jab computer formate karte hai tab Desktop aur my document ka Sara data Delete Ho jata hai !
Computer ka Backup kaise le ?
1) Desktop aur My Document ke Sara data Pen drive me copy karlo ya CD /Dvd me Right kar ke Rakho
2) Aagar tumhare pass Pen-drive nahi hai to koe bath nahi hai tum sara data "C" Drive Chod ke kisi bhi Drive me Copy kar ke rakh sakte ho jaise ki C,D,E
3) Computer Format Karne ke Pehla Drive ko Re-name karo jaise ki
- C:- Window
- D :- Data
- E:-Software/Movie
Ess tarah hai ! Dosto ye karna bahoot jaroori hai Kyu ki Aage jakar jab Computer hume Puchega ki tumhe Window konse Drive me Install karna hai to hum Confuse na hoye ki Humara Data konse Drive me hai :
![]() |
Data Backup |
2) Data backup lene ke badh Computer ko Restart karo Aur BIOS Setting me Jao Aur vaha se First boot device DVD Drive rakho " ( Bios Setting me Delet , F1,F2 F10 ,12 Enme se koe bhi Ek Button Press kar ke Ja sakte ho , Jaroori nahi hai ki Hur Button kam karenge Tumhe Sabhi Button Press kar ke dekhne hai jisme Se Koe Ek -button tumhe Biso Setting me Le jayega )
![]() |
BIOS |
3) Abb Window 7 Ki DISK ........DVD drive me Dalo Aur Computer Restart karo ! Restart Karte hi Aap Dekh sakte ho ki Computer Tumhe "Press Any key" Keh raha hai !to Keyboard ka Koe bhi ekk Button press kardo
![]() |
Press Any Key |
4) Aap Dekh Sakte ho Window Loading ko Processes shuru huyi hai Abb Language ,Time , Aur Keyboard Aapne hisab se set kar ke NEXT kardo (Ye Setting Chahiye to hum badh me bhi kar sakte hai Etni Important nahi hai ki Abhi- ke Abhi karni hai :)
![]() |
Language Pop-up |
5) install Now par Click kardo
![]() |
Install Now |
6) Aap dekh sakte ho Setup Start ho chuka hai
![]() |
Setup |
7) yaha Aapko License agreement " Accept" karte Next karna hai
![]() |
Accept License |
8) Next karte hi Aapko Installation Type Pucha jayega ,,yaha hum Costume ( Advanced ) par click karenge
![]() |
Custom |
9) Costume Par Click karte hi Aapke Samne Disk Partition Screen Aayegi jis me tumhe Window Konse Drive me install karna hai ! uska Location dena hota hai ! Hum "Window "nam ke Drive me Operating System Install karenge..
![]() |
Drive |
10) Abb Next kardo !!
![]() |
Working |
Aap Dekh Sakte ho ki Installing Process Shuru huyi hai ( Computer me Window 7 Load hone ke liye 15 se 20 min lag Sakte hai)
11) Window Successfully install hone ke Badh Computer Aapne-Aap 1 bar Restart ho kar Start hoga ! Aur Aapko USer name Aur password ke liye Puchega to Aap Aapke Computer ko User Name Do Aur Next kardo
![]() |
Username |
12) Next Karte hi Aapko computer Password ke Liye Puche ga Aapko Password dena hai to de sakte ho varna Next kardo !!!
![]() |
Password |
12) Fir Enter Product Key ke liye Puch raha hai !! ( Aagr Aapke pass product key hai to use Yaha dalo Aur Next karo varna Aise Hi Next kar do Aap ka Window Start ho ga )
![]() |
key |
13) Yaha Aapko Time Aur Data set kar ke Next karna hai
![]() |
Time |
14) Aagr Aapke Internet hai to Aap yaha Se Network type Choose kar sakte ho
![]() |
Network Type |
- Home Network :- Aagra Aap Network Ghar me hai yane Aap Privet internet Istimal kar rahe ho to Home Network Choose kar akte ho
- Work Network :- Agar Aap Koe Office me ho jaha office Work ke liye Alag-Alag Computers hote hai to Aap Work Network Choose kar sakte ho
- Public Network :- Agar Aap Coffee Shop , Airport ,mall jaise Public Space ke liye Network Set karna Chahte ho to Public Network Choose kar sakte ho
15) Next karte hi Aap Dekh sakte ho Aapka Window 7 Successfully Install ho chuka hai !
Dosto Ess tarah hum Computer ko Format kar ke Window load kar Sakte hai ! Computer ke Bare me Aapko koe Bhi Jankari Chahiye hai to hume Comment kare hum Aapki Jaroor Sahayta karenge :)
gud joab brother
ReplyDeletethanku very much
Not brother # now sister hear :)
ReplyDeletecomputer ko usb drive se kaise format kare ya Windows 7 dale bina computer ko Bootable kiye huye
ReplyDeletemam purchages window ko kaise install karte he
ReplyDeletemam purchages window ko kaise install karte he
ReplyDelete