hi Dosto Hindi me Networking ke Post me Aapka Swagat hai Aaj hum Janenge ki Lan Cable Kaise Crimp Ki jati hai ! to Aap Jante hi Honge Technology ke dunia me Network Kitna Important ban Chuka hai ! Humare Har devices kisi-Na kisi Network Se Jude Huye Ha Esi Tarah Se Aap ne Computer Lab , Cyber Coffee , Office, ya College me Aisa network dekha hi hoga Jis me 20 se 30 Computer Aapas Me Kisi Cable Se Jude Huye Hote hai Jis ke Madyam se hum Computer Me Internet ka Aur Data Transfer ( Sharing ) upayog kar sakte hai to Aap ke Jahan me Aise Kahi Sawal Aate hai ki jaise ki
- Computer se jude Huye Cable ko kya kehte hai
- Lan Cable me Color Code kya hai
- Lan cable ko kaise Crimp kiya jata hai
- Internet ki cabale kaise Banaye
- kya hai UTP Aur STP cable
- RJ45 Connector Kise Kehte hai
to Enn Sare Sawalo ko javab Aapko Humare post ke Madhyam se Clear ho jayenge to chalo jante hai Networking Cable kaise banayi Jati hai aur janiye Uski puri jankari hindi me
How to crimp internet Cable in hindi - Networking Sikhiye
Samay ke chalte Computer Networking me Lan Cable bana ne ke liye Sabase Jyada Twisted Pair cable ka istimal kiya jata hai ! Twisted pair Cable me copper ( tambe) ke taro ka Prayog Kiya Jata hai ! Kyu ki copper Electricity ka Aacha Conductor ( chalak) hota hai ! ye tar insulted hote hai ! Esiliye Enn Cable ke Upper Plastic ki koting hoti hai ! ye wire Aapas me Lipte Huye Hote ! En wire ka Aaps me Lipte hone ka karan Signal ka tezi badhana hota hai
Twisted Cable 2 Type ke hote hai
- UTP - Unshielded Twisted pair
- STP- Shielded Twisted Pair
UTP (Un shilded Twisted pair) :- Enn Cable me 8 tarah ki Wires hoti hai ! jo 2 -2 ke Jode me Aapas me Lipte Rehte hai Arthat Enn cable me 4 pair hote hai ( 1 Pair =2 Tar) ! Ye Sabhi wire Aalag-Alag Color me hote hai Jiska upyog hum Networking me Lan Cable bana ne ke liye karte hai
Utp Cable me Wire ke Upper koe Extra Shilding nahi hota hai ! Jiske karan ye Baheri Magnetic Field in hindi (Chumbkiya Shetr) Se Jaldi Attract hoti hai ! ye Sabhi Wire Ek Plastic ke Pipe (पाइप ) me Hoti hai Jise Plastic Sith Bhi kehte hai ! UTP cable ko Computer se ya kisi devices se Jodne ke liye RJ45(Registered jack-45) connector ka Istimal kiya jata hai
Data Speed ke Aadhar par UTP cabel ko Kahi Category me Bata gaya hai jaise ki
- Cat1 - Phone Cable ke liye
- Cat2 - 4MBPS data Transfer ke liye
- Cat3 - 10 Mbps Data Transfer ke liye
- Cat4 - 16 Mb Data Transfer ke liye
- Cat5 - 100 Mb Data Transfer ke liye
- Cat6 - 1GB Data Transfer ke liye
- Cat - Category
- MBPS - Mega bits per Second
- GP - Giga Byte per Second
Lan Cable ke liye Cat5 , Cat5e ya Cat6 ka Jada istimal kiya jata hai kyu ki Enhe Data Transfer Speed Sabse Aadhik prapt huyi hai Eske Aalava Ye Kam (low) Speed par bhi Work karti hai
UTP Lan Cable ka Istimal karte hum 100 miter tak Network bana sakte hai yane 2 Computer ya 2 Network devices Aapas me Jodne ke liye hun 100 miter tak Wire istimal kar sakte hai
2) STP (Shielded twisted Pair )
ye Cable bhi UTP cable jaise hi hoti hai par Enke Wire Pair ke Upper Foil ki Extra Shielding Hoti hai ! jo Wire ke Baheri Magnetic Field in hindi ( Chumbkiya Shetra )se jaldhi Attract in hindi (prabhavit) nahi hoti hai Ess karan STP cable UTP cable Se Jyada Mehangi hoti hai! Enn Cable Par Extra Shild Hone ke karan ye Cable UTP cable Se jyada Vajandar hoti hai ! STP cable ki Segment Distance Bhi 100 miter hi hai
How to Crimp Lan Cable in hindi
- Proxy server kya hai - kaise kam karta hai aur janiye uske Fayade
- Public IP Address Aur Privet IP Address yane kya in Hindi
Lan Cable Crimp karne ke liye Tumhe En chizo ki Jarrorath lagegi
1) Cat5 ya Cat 6 Lan Cable
2) Crimping Tool
3) RJ45 Connector
1) Sabse Pehla Lan Cable ko Crimp tool ke Madat se cut karo ( Aapko Keval Plastic Pipe hi cut karna hai )
2) Aab Sare Twisted (Lipte) Cable ko Aalag-Aalg kar ke Niche Diye huye Color ke Hisab se Set karo
4) jaise hi Aap Wires ko Color coad ke Hisab se Sahi tarah se Lagate ho vaise hi use Pakadakar RJ 45 me Insert in hindi me ( Aandar Dalo )
5) Aab Crimping Tool ke Madat Se Cable ko Crimp karo ( Aapko Wires Thik tarah se RJ45 ke Aandar Dalkar hi Crimp karne ki hai Agar 1 bhi Wire Piche Rehti hai to Aapki Cable Kam nahi karegi
Dosto Ess Tarah Tum Lan cable Aasani Se Crimp kar sakte Ho Aab Aagli Bar Aapke Ghar me Lagi huyi Internet Cable Kharb hoti hai to Aapko kisi engineer ko bulane ki jaroorath nahi hai Aap khud hi Ese Crimp kar ke Aapna kam kar sakte ho Aur Computer me Internet Na Aane ka karan 100% me Se 70 % hum Cabel ko De Sakte hai
Aapko Humara post Accha laga ho to Jaroor comment Aur Share kare ! Aapko Computer Technology Se Judi Kisi bhi Tarah ka problem ho to hume MAil ya Comment kare hum Aapki Jarror Sahayta Karenge !!!!
Very very thanx beautiful....
ReplyDeleteThank You !
ReplyDeleteThanks Aarohi
ReplyDelete