Dosto Aaj Ke Yug me Hur kisi ke Pass Laptop hai Uska Sabse Bade Karan hai Portability Aur Space
Portability :-portability ke karan Laptop ko hum kahi bhi le ja sakte hai
Space :- Space yane Laptop ko Desktop ke mamle me Kafi kam jagah lagti hai Use hum Kahi Bhi rakh sakte hai
weight ke mamle me laptop bhi kafi hulka -fulka hota hi En Sabhi karno ko Dekh kar hum Desktop se behtar laptop lene me Ruchi Dikhate hai
Lekin Aagar Aap Chahate ho ki Laptop Lambe samay tak Aapka sath Rahe Aur Wo Ekk Accha performance de to tumhe Laptop ko Khush rakhna Jaroori hai ! to chalo jante hai Laptop Care ke 15 Super hit tarike jis se tum Aapne Laptop ki life hi nahi to performance bhi badha sakte ho
Laptop ka kaise dhyan rakhe -Computer Repairing in hindi
- Turn On ke badh bhi Laptop Start nahi ho Raha hai ? ( How to Fix in hindi )
- Video kaise edit kare - Video cutting , joining , Text Effect ,Sound , Action
1) Laptop par Kam karte Samay Kabhi Pani ka Glass ya Chay /coffee ka cup Ya Kisi bhi taral Padarth (Fluid) Pass Na Rakhe ! kyu ki Aagar bo Galti se bhi Laptop Par Girata hai to Aapke Laptop ka Circuit Defective ho sakata hai Jis seTumhara laptop Tumhe Ekk Tagda Kharcha De sakta hai !
2) Jab Tum Khana Khate ho tab Laptop ko Door hi Rakho ! yane Khana Khate samay Laptop ka prayog mat karo kyu ki Aapke Hatho par laga hua Khana Ya Oil Keyboard par Chipak jata hai jis se Keyboard key( button ) ke bicho-bich jo Khali jagah hoti hai vaha Carbon ban jati hai Aur bo Carbon Tumhare Keyboard ke liye Hanikarn Sabit hoti hai Yane Jaldhi Tumhare Laptop ka Keyboard kharab ho sakta hai
3) Aagr Tum Internet ka Prayog kar rahe ho to Aapne Laptop me Ekk Accha sa Antivirus Dal do ! Jis se Laptop Virus Se Surkhsit Rahega ! Ekk bath par Gor karo Aagr Tum professional Kam kar rahe ho to Free Anti-virus istimal math karo kyu ki free Anti-virus ka Koe bharosa nahi hota hai ( Uske Hote bhi Computer me Virs Aa sakte hai )
4) Laptop Ko Bar-Bar Format Na kare ! Jis Se Tumhari Hard-Disk crash Hone Ke Chance badh jate hai yane Hard kharab Ho Sakti hai
5) Aagr Laptop Se Tum Acchi performance Lena Chahte ho to laptop me Unwanted in hindi (Aanchahe) Software ka Prayog Na kare !
6) Dunia me Aise kahi Log hai Jo Laptop par Books , Folders, ya koe Chiz Rakhte hai jo Laptop ke Display ke liye Sahi nahi hai Ess Se Laptop Ki Screen Kharab ho Sakti hai Eske Aalava Touch Laptop ke Screen par Pen, Pencil ka Istimal Na karna Use tumhare Screen Par Crack Aa sakti hai ! Aur laptop ko bachho se Door Rakho Kyu ki Unhe Keval Todna Aata hai :)
7) Jitna ho Sake Laptop ko Dust Se bachao , dust Tumhare Laptop ke Chip Aur IC par jam jati hai ! Use Se Bo Chip Over-hit ho jati hai Aur Jald hi kharab bhi ! Dust Ke Vajah se Laptop ya deskto 100% me se 65% Kharab hote hai ! Eske Aalava Keyboard buttom Me bhi Dust Jane Se bo kharab ho Sakta hai Ya Keyboard ke Button Jamm ho Sakte hai
8) Dust Ke Karan Laptop Me DVD Rom par Effect Gir Sakata hai Jis Se DVD ke Lens kharab ho sakate hai
9) Laptop Rakhane ke liye Achi Quality ke BAG Ka Istimal kariye Wo Bag Keval Laptop rakhne ke liye nahi to Aise Bag Lo jis Se tumhare Hatho So Gir bhi jaye to Laptop ko Jada Nuksan Na Pohche Aur Bhahar Nikalne Aur Rakhen par laptop ko Scratch Bhi Na Aaye
10) Laptop ki Battery bhi Uska Mukhya Part Hota hai ! Esiliye Uska Bhi Dhyan Rakhna Jaroori hai ! Laptop ki battery Acha back-up De Ya Laptop ki Battery Backup Badhane ke liye Power management par Aavhsya Dhayan De
Laptop ki Battery Backup Badhane ke liye Power manegment Se Power Plan chune ! bo tumhe Tumhare Computer Ke Control panel > Power option >Power Saver Par Click kare
11) Laptop ke Battery ko Kabhi pure tarah se Discharge Hone Na de Ese Se tumhari Battery jald hi kharab ho Sakti hai !
12) Laptop ko Charge karne ke liye Laptop Off Kar ke hi Laptop Charging kare
13) Laptop Charger ka Vishesh Dhyan Rakhe ! Aagar Aapke yaha Voltage Problem hai to UPS ka Istimal Kariye ! Yadi Aapke Laptop ka Charger Kharab hota hai to Uske Badhle Orignal Charger hi Kharide Kyu ki Local Charger Se battey ya laptop Kharab hone ke Chanches Badh te hai
14) Laptop Par Faltu ke screen saver Na lagaye !
15) Agar tum Laptop ke Liye USB Mouse Aur USB Keyboard ka Proyog karonge to Tumhare Liye bo Kafi faydemand Sabit ho sakta hai
Keyword :- Laptop Repair , Computer Repair , Hardware , Networking , lapto Problem ,Computer paroblem , How to Repair Laptop, Troublshooting ,problem fix , Laptop Battery
Dosto Enn Sare Batho ko Follow kar ke Tum Laptop Ki jindagi badha Sakte ho ! Aur Laptop Se Achi performance Le Sakte ho to Aapko humara Aaj ka post kaise laga ye hume Comment dwara Bataye Aur Aapne Dosto tak Jaroor Share kare !
Cool information Bhai...thanks
ReplyDeletewelcome !
ReplyDelete