Hi Blogger Computer ki jankari me Aapka Swagat hai ! to Aaj Hum Janenge ki kaise Hum Aapne Computer ki Speed Badha sakte hai ! to Dosto Muze Kahi Mail Aate hai ! Me kahi Clients ke pass Jate Rehta Hu! Jis me Kahi Logon ki Ekk problem Hoti hai ki Bhai Computer ki Speed Kam Ho Gayi hai ! ya Mera Computer Pichale Hafte Se Kafii Slow Chal raha hai ! to Mene Socha ki Kyu Na Espar Ekk post Banaya Jaye ! Yane ki Aagar Tumhe Bhi Ess Tarah ki Problem Aati ho to Tum Hi Solve kar sako ! to Mene Mere Computer Experience ko lete 16 Aise Point Nikale hai Jise Istimal kar ke tum Aapne Computer Ki Speed Jaisi theee vaaise Kar Sakte ho ! Yane Badha Sakte ho !
1) Sabse Pehla Aapne Recycle Bin ko Check karo ! Yadi Wo Bhara Hua Ho to Use Empty Kar do ! Kyu ki Bhara hua Recycle Bin Computer ki Speed Dheemi karta hai !
2)
Dosto Mene Kahi Bar Clients ke Computer me dekha hai ki ! Virus se Bachane ke liye wo 1 nahi to 2-3
Anti Virus Aapne computer me install kar lete hai ! Jis Se Unki Computer Speed
Slow ho jati hai ! Fir bhi Wo Samzate hai ki Virus ke vajah se Computer Slow
ho Gaya hai !to nahi dosto tumhe Aapne Computer me Keval Ekk hi Anti
Virus Install karna hai !
3) Aapne Computer se Bina Vajah ke Sare Software Nikal do ! jo kisi Kam ke nahi hai Wo Kyu ki Bina kam ki Chiz hi hume Parishan karti hai :)
- Software Uninstall karne ke liye > Control panel >Add and Remove programs
4) Computer ki Speed Badhane ke liye Computer ya Laptop se Visual Effects kam se kam rakho
Visual Effect kam kaise kare !
- My Computer Right Click
- Properties
- Advanced system Setting
- Open New box in Select Advanced
- performance setting
- Select Adjust for Best Performance
- Apply
5)
Dosto Computer RAM ke Bare me Tumne
Suna hi hoga ! to Computer ki Speed Badhane me Ram ka Sabse Bada Mahatwa
( Important ) hota hai ! to agar Aap ke Computer Me RAM kam hai to
Aap Ram ki Size Badhakar Computer ke
Speed ko Increase kar sakte ho ! Leki Tum Abhi RAM badha nahi sakte ho to
Pendrive ka Istimal As Ram kar sakte ho ( link)
6)
HDD( Hard Disk ) Ekk Aisa devices Jis ke help se Hum Computer me Data
Store kar sakte hai !to Aapne HDD me Unwanted Data Store kar ke Rakha hai ! to Use Khali
kar do ! Kyu ki wo Tumhare kisi kam ki nahi hai ! Aur -to -Aur Bina vajah Aap
ke HDD ki Space Reserve Kar ke Rakh
rahi hai Ese Aaccha Use Free karo Aur HDD me Extra Jagah Banao ;)
7)
Defragment ka Istimal kar ke Aapne Hard-disk ko Proper Banaye ! yane Aapke HDD
me Yaha-vaha Padi Sare Files ko
(व्यवस्थित ) rakh ne ka kam De -fragment karta
hai ! Uske liye MY Computer me DRIVE _ Select karo !
- Properties
- Tool
- De-fragment Now
par Click kar do ! Esme 15 se 20 min lag Sakte hai !
8) Aapne Computer Se Sare Temporary files Delete kar do ! Uske liye
- Microsoft+R =Run
- Type =Temp
- Delete All File
9) Aagar Tum Internet User Ho hamesha Internet Se Jude Rehte ho to ! internet Browser se Internet History ko Delete kar te Rahe !
10) Dosto mene kahi bar mere Clients ke computer me Dekha hai ! ki Unke istimal kar ne ke Software keval 5 se 6 hi hote hai par Pura (Add-and-Remove ) program Unwanted Software ya Tools se bhara pada hota hai ! jo unhe pata bhi nahi hota hai ki ye kaha se Aaya hai ! to Dosto ye sare Tool Internet se Aate jo tumhari permission liye Bina Tumhare Computer me Install ho jate hai !Aur Computer ki Speed kam kar deti hai ! to Dosto Enn bach ne ke liye internet par Aanchahe -ya unknown link par Click math karo ! jaha Likha hota hai
- Download Now ( bade banner me )
- Get Recharge Free
- Free movie and Song
- Get FB notification
- Boost Your Computer
11) Unwanted Email Open math kariye ! use Bhi Virus Attack ho sakta hai ! jo tumhare window explorer file ko Delete ya PC crash kar sakta hai
12) Free ke Anti Virus Aur Computer Speed badhane wale Software install math kar na Jis se Tumhare PC ki Speed Badhegi nahi Ghategi :)
13) Computer me Screen Saver Aur Themes ka istimal na kare kyu ki Theems tumhare Computer ki Jabarjast Memory Leti hai !
14) Weekly Computer ke DISK Cleanup tool ka Istimal karo ! Jis se Tumhare computer me Save ! Sare Junk aur Extra File Delete Ho jayenge !
Disk Cleanup ke liye
Start >RUN > Cleanmgr > Choose Your Drive And OK <
15) Computer Desktop par Folder Ya File ko Save na Kare ! Jitna ho sake Uthna Desktop ko Khali rakhne ki koshish kare !
16) Aagar Tum Cyber Se Koe File ya Document Downoad kar ke La rahe ho to ! ( सावधान ) kyu ki Cyber ke computer me Virus ka problem Aam hota hai !to jabhi Cyber se koe File ya Data lekar Aa rahe ho to use Aapne computer me Execute kar ne ke pehala Anti virus se Scan kar lo !
- Bina investments ke Internet se paise kaise kamaye
- Online paise kaise kamaye - Ghar bethe bethe Amir bano
Dosto ye Sare Software Problem hai jo Computer ki Speed kam karti hai ! Enn par Dhyan doge to Tumhare PC ki Speed kabhi kam nahi hongi ! par Dosto Humne Computer Hardware ke Bare me Socha hi nahi ! to Agar Aap jan na chahate ho ki kin Hardware problem se Humara Computer Dhima ya Slow ho sakta hai to ! humara Aagla Post Padhna ......Na bhoole ! Aur Ess Post ko Jaroor Share Aur Comment kare :)
Bahut acha Likhte hai Sir Aap. Aap yahan Guest Post kar Paise kama sakte hai- www.hindisehelp.com
ReplyDelete