Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Friday, 15 April 2016

Android kya hai Aur kaise Bana puri janakari hindi me


Hi Blogger me Aarohi Aapki Dost to  Mobile Technology ke Dunia me Android ka Nam Aap ne Suna hi hoga ki Android Ekk OS hai Jise Smartphone me Use kiya jata hai par Kya Aapko pata hai Android kaise Aur Kis ne Banaya ! Aagar NO to Aaj ka post Keval Aapke liye hai to Es Jaroor padhe Aur Share kare :)


What is android in hindi - Android kya hai 

Android 1Ekk Linux Based Operating System hai ! Jiska Vikas (विकास ) Google dware kiya gaya hai ! Android ko Mukhy (मुख्य ) roop se Touch Screen Mobile Ke Liye Develop kiya hai Jise Hum Smart phon Bhi Kehte hai 


android-history+in+hindi



Android Ka Istimal Computer - Laptop- tablets Me bhi kya Jata hai  Badhte Users ko Dekh-kar Company ne  Android Based (आधार) Par Cars -TV-Watch  bhi Market me Layi hai  ! Ess Operating System me Sab-kuch Touch -Screen Dwara Access kiya Jata hai  jaise ki 

  • Tapping 
  • Pinching
  • Sweeping
  • Virtual Keyboard  


Android OS se hum Gaming ,Camera ,Editing ke features ko bade bakhubi (बखूबी ) se istimal kar sakte hai ! dunia me Mobile Installed  Operating System ke tulana (तुलना) me Android ka Number 1 lagta hai :) 

History of android in hindi - Android ka Itihas 


Hindi+me+Android+ki+jankari
October 2003 me United States of America ke California State ke [The towns of Palo Alto] me

  • Andy Rubin
  • Rich Miner  
  • Nick Sears
  • Chris White

Enhone Android information ki Sthaphna (स्थापना ) ki Thee . Andy Rubin ka Kehna Tha ki Ekk Aisa smart Mobile Banaye Jis se Users Bina Parishani ke Aur Marji se Jaha Jana Chahte hai vaha Ja sake 

17 August 2005 me Google dwara Eska Acquisitions (अधिग्रहण )kar ke Google ke Under Jitne Bhi Companys Hai Usme Ye Project Rakha Gaya - Aur Main Company Yane Android Info. Ke Andy Ruby ,Rich Miner ,Nick And Chris White ye Enn Project Me Worker ke roop se Kam Karne Lage 

Google ke dwara (द्वारा ) Market Me Aane ka Soch ne Ke badh Andy Rubin ke Leadership ke niche Linux Kernel based par Mobile  equipment Platform develop kiya Gaya 



Google ne ess platform ki Marketing  Ess wade (वादे ) ke Sath  ki ------Ki Handset Makers aur Communication Companys's Ess Platform ko Flexible Rakhega aur Upgrade Karne ki suvidha (सुविधा ) available kar ke dega 

23 September 2008 me android ka first  edition Launch kiya Uske Badh Ab-tak Android ke Kahi edition update Hote Gaye hai .Hur Bar Enke Update ka Nam kisi Khadhy (खाद्य ) Cake pastry se Rakha hai jaise ki 

  • Cupcake
  • Donut 
  • Eclair
  • Froyo
  • Gingerbread
  • Honeycomb
  • ice cream Sandwich
  • Jelly Bean
  • Kitkat  
  • Lollipop

company ne Hur Update ko Aapne purane updates ke Mukabale Behtar (बेहतर) bana ne ki koshish ki hai

5 October 2015 me Android ka Latest Version Launch kiya Gaya Hai jo hai   Marshmallow  


 Android ki Extra Janakari Hindi me

1) Android ki Pehchan Bana Green Android Logo Famous  Ggraphic designer 
 Irina Blok  Dwara (द्वारा ) 2007 me Banaya Gaya hai  

2) Google Hur 6 se 9 Month (महीनो ) me Android ke liye New Update Provided karti hai 

3) Android ke Success ke Piche Sony -Samsung - HTC- Motorola jaise company ka Vishesh Yogdan ( योगदान ) hai 

4) Android Operating System Java Programing Language se banaya hai


Tag -Android kya hai ,Android ki janakari , Android kya hota hai ,Mobile ki janakari ,Mobile kaise Repair kare 

Aapko Humari Hindi me Android ki Janakari Kaise Lagi Ye Hume Jaroor bataye Aur Share Aur Comment karna na Bhoole :) 

5 comments:

  1. blank

    What a brilliant writing style. Bahut kamal ke tarike se likhte ho aap. Mujhe itna interest nahi tha android ke baare me padhne me but jaise dusri line padhi. Automatically pura padhne ke liye mazboor ho gya. Or android ke baare me bahut hi jyada knowledgeable history share hi hai apne

    ReplyDelete
  2. blogger_logo_round_35
  3. blogger_logo_round_35

    hmmm... shows a lot of research and effort.. keep it up... I 'm Android dev. .. or Hindi me padhke achha laga.. :)

    ReplyDelete
  4. blogger_logo_round_35

    Gr8 ! Sourabh nd thanx :)

    ReplyDelete
  5. blogger_logo_round_35

    kisi ka mobile hack kaise krte hain

    ReplyDelete

Humare Website me Aapka Swagat hai !

Home About-us Privacy Policy Contact-us Services
Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates