Hi Blogger Me Aarohi Aapki Dost to Aaj Hum Hard-disk ke bare me Janakari le Hard Disk Jise Hard-Drive Bhi kaha Jata hai . Kuch Aankdo (आंकड़ों ) ko Jama ( Store) kar -ke Securely Safe rakhne ke kam Hard Disk ka hai ! HDD Digital jankari ko magnetic Roop se Padh aur Likh Bhi Sakti hai !
hard Disk me Ghumne Wali platters ( Disk) hoti hai jise magnetic heads Se Liniment (लेप) Kiye Jati hai ! Power Off Hone par Bhi HDD ke Data Storage ko ye Platter Safe (सुरक्षित ) rakhti hai ! Ess Technology ka Avishkar 1956 me IBM Company me Hua tha 1960 tak Hur computer me HDD ka istimal kiye jane lage the ! Chalte Samay ke Sath HDD me Bhi Sudhar Hote ja rahe hai
Aaj Server Ke Jamane me bhi Hard-disk ne Aapne Sthan par Stheer( स्थिर) hai , Dosto Dunia me 200 se jyad Company ne HDD banayi hai par Segate ,Toshiba ,WD ( Western Digital ) Ka number Sabse Aage Hai !
Hard-Disk Storage Space ke Bare me !
IBM Model 350Disk ki Size Niche diye Gaye Image me Aap Dekh sakte ho jo keval 5 MB Data Store karme ke liye Bani thee
Samay ke Sath Technology me Improve Karte 1979 me HDD me 250 MB data Store karne Ki Facility Aa gayi :)
IBM ne 1980 me [IBM3380] introduction kiya Jo 2.56 GB Data Store Kar Sakti thee ! Esi Tarah Technology Aur Samay ke Sath HDD me Changes Hote gaye Aur Storage Space Badhte Gaye ! Aaj ke Jamane me 2 se 3 TB ke HDD market me Available hai
Dosto HDD /Memory card/Jaise Data Store karne wale Hardware ko byte me Gina jata hai jaise ki
- 1024 byte 1 KB (Kilo Byte )
- 1024 KB 1 MB (Mega Byte)
- 1024 MB 1 GB ( Giga Byte)
- 1024 GB 1 TB ( Tera byte)
Digital media me Data ko enn byte ke Aadhar par Gina Jata hai - Par Ekk Bath Humesha Yadh Rakho ki Jis tarah 1Gb ya 2GB kaha Jata hai! unme se Puri Space hum istimal nahi kar sakti hai unme se kuch Space Pehale se kisi Aur mukasad ke liye Reserve hoti hai !ye hi karan hai ki jabhi Hum 700GB ki HDD use karte hai tab bo 698 GB hi Show karti hai
Hard Disk ke Type in hindi
Hard Disk me mukhy Roop se 4 type Aa Sakte hai jo ! Jyada istimal Kiye jate hai
PATA (Parallel Advanced Technology Attachment )
Dosto PATA HDD ko IDA bhi kaha Jata hai Jis ki Speed Per Second 100 se 133 MB Huaa karti thee. Ye Ekk Samay par 8byte Data Send kar sakti hai Jise hum OLD version keh sakte hai Yane Jo Purane Computer me Lage hote the . Enn HDD Ko Computer se Connect karne ke liye Hume IDA Cable ki Jaroorath Lagti thi ! Aur Use Cable ke Madat se hum At Time 2 se 4 HDD System me Laga Sakte the ...Halaki Abb PATA HDD jada istimal nahi kiye jate hai par kahi Purane PC me Aap Enn HDD ko Dekh Sakte ho !
SATA ( Serial Advanced Technology Attachment )
SATA Ek Advance technology Hai !Jo per Second 300 MB Provide kar Sakti hai ! SATA Cable ki Lambae 1 meter hone ke Sath Esme Keval 1 hi HDD Hum Laga Sakte hai .Ess Drive me 7 pin hoti hai jisme 4 pin 2 jode me kam karti hai Aur File ko transfer karne me madat karti hai ! Aane wale New Computer me Aap SATA HDD dekh sakte ho
SCSI (Small Computer System Interface)
SCSI High Speed Server Ke liye Istimal ki Jati hai ! Jab RAID System Configure karte hai tab SCSI HDD Hum Use karte hai Jiski Speed Jabarzast hoti hai ! SCSI HDD me 50 se 68 Pins Hoti hai !Ye hur Second 640MB Data ko Transfer kar sakti hai ! SCSI Cable Se SCSI HDD Jod sakte hai Uske Siva Hum at Time 16 Drive bhi SCSI cable ke dwara Laga sakte hai
External Hard-Disk
Dosto External HDD Unn Hard-disk ko kehate hai .Jise Hum Aapne Sath kahi bhi Le Ja sakte hai .jaise ki Pen drive aur LAPTOP portable Hote hai Usi Tarah External HD bhi Portable devices hoti , Jise Hum Computer ya Laptop ke USB port ko connect kar ke kahi bhi Istimal kar sakte hai
Hard Disk ke Hardware Ke bare me !
Hard Disk drive me Kahi Sare technology ka Istimal kiya jata hai . Jis ke Help Se Hum HDD me Salo-Sal DATA Save Kar ke Rakh Sakte hai . jaise ki
Spindle Motor
- Actuator
- Actuator ARM
- I/O Connector
- Read /write Head
- Disk ( platter )
- Circuit Board
Enn Sab Ka Aapna-Aapna Kam Hai jo hum Kisi Aur Deen Janenge :) Eske Siva Death ya Crash Hard -Disk Se Data Recover karne ke liye bhi Enn chizo ki Jaroorath hume Lagati hai ..
- Mobile se Aapne photo ka cartoon character kaise banaye
- Internet Download Speed kaise badhaye [ IDM Ki Setting karo ]
Dosto Aaj ka Post mene keval Computer Fundamental in Hindi ke nam se Publish kiya hai ! Jis se tum Hard-k -bare me kuch Janakari Hasil kar lo .ki Aasal me HDD hai .kya ! Kyu ki Aage Jakar Hume Hard Disk Repair/Data Recovery / jaise kam bhi karne hai ... kher Aaj ka Post Aapko kaise laga Ye muze Jaroor bataye aur Share Bhi kare :)
Very Informative Article, Thanks
ReplyDeletewelcome !
ReplyDelete