Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Thursday, 28 April 2016

Photoshop se kisi bhi Photo ko DSLR Lens Effect kaise De


Hi Blogger  Me
Aarohi Aapki Dost Photoshop in Hindi me Aapka Swagath hai to Time ke Kami Aur Exam ke Shuru Hone se me Time-to-Time Post kar nahi Pa Rahi Hu Par me Koshish karti Rahungi ki Hur Week me 3 se 4 post publish karu :) to Aaj hum Photoshop ke Bare me jane ki Photoshop ke madat se hum
kisi Bhi image ko Ekk High Professional Aur Creative effect De sakte hai to hum Dheere-Dheere Photoshop se judi Janakri Lene ki koshish karenge  par Aaj 1 ekk interesting  Effect ke bare me Jane Yane Aapne kisi bhi photo ko DSLR Lens Effect kaise de Jii ha ! to Chalo Jante hai kaise Photoshop se Kisi bhi Photo ko Lens Effect de :) 


DSLR+IN+HINDI


1) Photoshop Open kare Aur Jis photo ko Aapko Lens Effect Dena hai Use Photoshop Me drag karo ya Open karo ( Ctrl+O)


Photoshop+cs+6+in+hindi

 2) Abb Left Navigation Bar se Quick Selection Tool select karo Aur Photo Me Keval Aapka Photo Chor ke Pure background ya Aap Jaha Lens Effect Dena Chahate ho Use Selection karo 


In+hindi+lens+Effect


3) Abb Image ka Selection Hone ke Badh upper (ऊपर ) Option Bar se Filter>Blur> Lens Blur < Par Click kar do 


Hindi+Photoshop+dslr


4) Jaise hi Aap Lens Blur par Click karoge vaise hi Tumhara Selection Part Lens Effect me Convert Hoga  Aur Ekk Pop-Up Aayega Usme ok Button par Click kar do :)


Hindi+me+Photoshop+free


Ok Button par Click kartehi  Tumhara photo DSLR Lense Effect me Show Hoga Bass Abb Save As Jpg kar ke Save karo Aur Whatsapp ya Facebook par publish karo :) 


Dosto Aapko humara Post kaise Laga Ye Hume Jaroor bataye Aur Comment Aur Share bhi kare  .Photoshop -Corel DRAW - Computer -Hardware-Networking-SEO- Mobile -Se judi Koe bhi Janakari pane ke liye Humara FACEBOOK page Abhi like kare Aur Hur Roz -Hindi me Free Update pate rahe :)

0 comments:

Post a Comment

Humare Website me Aapka Swagat hai !

Home About-us Privacy Policy Contact-us Services
Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates