Dosto Aaj hum Janenge Diagnostic Card ke bare me Viase market me kahi tarike ke Diagnostic card Available hai par humare Engineer 3 type ke Card hi istimal karte hai jo Aam tor par hur engineer karte hai jaise ki
- 2 Digit -- 100 Rs
- 4 Digit -- 150 Rs
- TFT Card -- 550 Rs
Digit Yane Card par Lage huye LED hote hai Aur TFT yane Display to Dosto TFT ho Ya Digit kam (काम ) to dono bhi same hi karenge -so tumhe Esme Jada Tension Lene ki jarurth nahi hai ...:)
to Aaj ke Post ke liye hum 4 Digit Wala Card Lete hai -to dosto Aap card ke upper dekh sakte ho ki kuch LED lage hote hai .unn Sab LED ki Aapne -Aapne hisab (हिसाब ) se Rating hoti hai jaise ki
2 LED -12 V
3 LED 3.3 V
4 LED 5 V
5 LED Clock
6 LED Frame
7 LED Ratio
8 LED Reset
to Jab Hum ese PCI Slots par Lagayenge to voltage ke Sare LED Start honge Agar Koe LED Start nahi ho rahi hai to Uske niche diye Huye Rating ke hisab se Motherboard me problem Ho sakti hai
- Computer me Android 4.4 KitKat Kaise Install kare
- Kisi bhi Mobile par Kisi ke bhi Number se Call kaise kare
Ok Eske Badh Diagnostic Card sabse most important Part hota hai Reset yane Motherboard par reset Aa raha hai ya nahi ..to jabhi Card PCI Slots par lagte hai and Motherboard ko voltage diya jata hai tab number 8 ki LED yane RESET LED start hokar band ho jayegi yane On /OFF hogi to LED on hokar Off hone ko hum Reset Aa gaya kehete hai
- Computer se Mobile par Free call kaise kare
- Android me Kisi bhi lock Application ka password kaise tode
to Manlo ki mene Motherboard se RAM Nikal di hai to dosto RAM me kya hota hai - Ekdam Last field me Data Transfer hota hai yane Jab BIOS se Data Nikalta hai tab jakar RAM me Process start hoti hai ..Eska matlab RAM Nikal ne ke bavajud (बावजूद )bhi RESET par koe Asar padna nahi chahiye .
Par Agar me CPU Ko Supply dena band kar du ? Zahir (ज़ाहिर ) si bath hai humara VRM power Good nikalega nahi -VIRAM Power Jab tak South Bridge ko milega nahi tabtak Wo Reset Generate karega nahi
Dosto Agar motherboard par RESET Generate nahi hua to Diagnostic Card par RESET LED ka status continue ON hota hai yane wo ON/Off nahi hoti hai to Ese Situation ko hum RESET HIGH bhi keh sakte hai
- Blogger me post ke Corner-Center-Left- Right me Adsense Ads Kaise Lagaye
- Purane Blog ke viewer ko Aapne naye blog par kaise laye -Traffic Badhau Trick
To Motherboard par Reset Na Aane ka karan ye hai ki Board par kahi na kahi Supply Missing hai - Jaise ki Ho sakta hai South Bridge ki supply Missing hai - Ho sakta hai RAM ka terminator Supply missing hai ya CPU ko Uske Hisab se Voltage nahi mil rahi hai .etc to ye thi RESET LED ki jankari
{ Dosto Yad Rakhe RESET ke bina BIOS ko chedkar koe fayda nahi hai kyu ki BIOS ka function RESET Aane ke badh hi start hota hai }
Clock LED -
Dosto Same Motherboard se VRM Supply nikal ne ke badh jaise RESET LED On hi rehati hai vaise hi Number 5 Clock LED Off Ho jati hai -balki Use On rehena Chahiye to ye Kyu hota hai kyu jab hum VRM cable Board par connect karenge tab jakar south bridge Voltage Aati hai fir jakar Clock LED enable hoti hai - to Dosto Jabhi Clock LED blink hogi tab bo dusare LED se Thodhi Deem hogi kyu ki Usme Auro ke mukabale thodi kam voltage Aati hai ...
Frame LED -
Dosto Frame ka LED On/Off -On/Off hota rahega -ye process tab hogi jab board Start hone ke badh data Transition Start Hoga jaise ki CPU data lekar RAm me data process karega -data khatam huaa -Fir CPU data lega aur Ram me send karegi to Enn process me Frame LED On-Off /On-off hoti rahegi
LED Coding Status
Jab computer start hota hai tab ye LED Code change hote rehete hai jis tarah cpu ko data send hota hai usi tarah coding change hoti Rehati hai jaise ki
system Start hone par -Restart hone par - Display Aane par -hur step par ye number change hote rehate hai -jab system on hote hi F1 ka message show karega tab ye sare Number ruk jayenge to Dosto Eska matlab hai ki jab Display par koe work nahi honga tab koe code change nahi hoge aur jab display par koe data send-receive hoga tab code change hote rahenge :)
- Facebook Account kaise hack karte hai [ ID hacking ki Jankai hindi me]
- Kya hai Panic Button - Kaise hum Ess button ko istimal kar ke crime Rok sakte hai
sabse Important bath Market me kahi Company ke Diagnostic Card Milte hai unn sabi ke code bhi Alag -alg hote hai Eska matlab ye nahi hai ki hume hur code ko yad rakhna hai uske bina koe kam nahi honga to ye galat hai to hume ye samzna hai ki system start hone ke badh coding kitne bar change hogi jaise ki
- Motherboard Ok ho - to coding 7 se 8 bar change hogi yane Display Ok
- Agar RAM problem ho to coding 2 bar change hogi
- VRM problem ho to Coding show hi nahi hongi yane data generate hi nahi ho rahi hai
- Agr 4 se 5 bar code change hokar .Aage Show nahi ho rahe hai tab Clock generate ke Aas-pas ke register check karo -Ram slots ke baju ke register ko reinsert kare
- Agar Continue coding Aati hai to BIOS kharab hai
2 Digit Diagnostic Card Ki basic janakari
2 Digit Card ki Coding bhi Almost 4 Digit card ke Anusar Same hi hoti hai par Enn cardo me -RESET -CLOCK -ki LED nahi hoti hai Esiliye hume 4 digit Card ka istimal karna hi faydemand sabit hota hai :)
to Dosto Aaj hum ne Diagnostic Card ki jankari Hindi me Lene ki koshish ki jo tumhe Chip level ke shurwath me honi chahiye - to hum Esi tarah
Step-by-Step motherboard -SMPS- Repair karna Sikhenge Eske Aalava hum Aapke liye HINDI me computer ki PDF bhi bana rahe hai jo jald hi humare Website pe free upload ki jayegi tab tak humre post ko like -shear -aur comment kare :)
$$$$$$$$$$$
ReplyDeleteअगर आप ऑनलाइन काम करके पैसे कमाना चाहते होतो हमसे सम्पर्क करें हमारा WhatsApp नम्बर है 7070077390
ब्लॉगर्स कमाऐं एक महीनें में 1 लाख से ज्यादा