Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Monday, 1 February 2016

Computer Driver kya hai aur kaise Download kare - 1 click me sare Software install


fg

Ji ha Aagr Aap Computer hardware ya IT fild ke ho to Tumhe Ye Jankari pata hone Chahiye ki Driver kya hai aur use kaise istimal kare 



.Acsar hota kya hai jabhi hum computer format karte hai tab usme hume Sound driver ,Graphic Driver ,NIC driver Aise kahi driver Dalne padte hai jiske Beena hum Computer me kisi bhi tarah ke Feature ka Istimal nahi kar sakte hai jaise ki Manlo Tumne Computer ko Format kiya par Usme Sound nahi Aaa raha hai kyu ? ki  tumne Aapne Computer me Sound driver Nahi Dala hai Usi tarah Aagar Video theek se nahi dikh raha hai to to tumne VGA driver nahi dala hai
Esi tarah hume Computer me Hur Ekk feature Active karne  ke  liye Driver Aur Software Dal na Jaroori hota hai !

Me Ekk Hardware engineer Hone ke karan muze kahi call Aate hai ki Mre Computer me Sound nahi Aa raha hai , mere laptop ka Wifi Star nahi ho rha hai , Internet Chal nahi rhahai, Video clarity  ghatiya Aa raha hai !  to ye Sare problem Dhyan me Dekar mene  Aaj ka Post likha hai jo tumhare liye kafi Faydeman Aur paise bachau Sabit ho sakta hai

to chalo Sabse pehla jante hai ki Driver kaha se milege
in hindi



1) Agar tum ne New Computer ya Laptop Liya he to.. uske Sath Tumhe  Jo CD milti hai bo Driver ki hi hoti ha ! Usme Tumhe Tumhare computer ko lagne wale Hur ekk driver loaded hote hai !Use CD Ko tumhe Aapne Computer me Driver Backup ke nam se Copy kar ke Rakha na hoga kyu ki Aage Jakar kam Aaye 




Driver+in+hindi



2) Agar Tumhare pass Driver ki koe Cd nahi hai ya Miss huyi hai to darne ki koe bath nahi hai internet se tum Driver Download kar sakte ho ! Uske liye Tumhe Tumhare Computer ke Mother board ka Model number pata hona chahiye jaise ki
  • Gigabyte GA-78LMT-S2PV
  • Gigabyte GA-78LMT

"Model number tum CPU khol-kar motherboard par dekh sakte ho" 


Mother+board+in+hindi


ess tarah se ye tumhe Aapne Computer par Likha huaa milega ! Ess model number se tumhe Google par Search karna higa ( Gigabyte model number Sound driver ) to tumhe Sound Driver milega , Esi tarah Hur ekk Software tumhe Manually Download kare Install karna padega


Driver+in+hindi+2


Agar tume laptop ke liye Driver Chahiye to tumhe laptop ke model num ki jaroorarh padegi jo Laptop ke theek piche hota hai !
acer



hum jab Desktop ke liye Driver Find karte hai to hume keval 2 ya 3  hi driver ki jaroorth hoti hai 


  • Sound Driver :- Sound ke liye
  • VGA Driver    :- Video ke liye
  • Lan driver     :-internet ke liye

bo bhi Aaj-kal Window 7 /Window 8/ Window 10 me Free loaded Aate hai Agar kisi  bar  Window ne Driver Skeep kar diya to hume Dalna Padta hai ! ya Aage jakar Drive corrept hota hai to hume manually Drivers Dalne hote hai



laptop+in+Hindi




par Bath jab laptop ke liye Aati hai to hume bade Dhayn se kam karna hota hai ! kyu ki Desktop ke liye kahi bar Ekk common driver hum Alag-Aalg computer me Istimal kar sakte hai par Laptop ke liye bilkul bhi nahi kyu ki laptop hur-Ek brand ka Aalag- Aalag hota hai Uske Model number /Serial number Sab Aalag -alag hote hai Aise vact hume 2 ya 3 ghante internet par Beth kar Software Download karne padte hai uske Aalava Laptop me Desktop ke mukabale Extra Software bhi hote hai jaise ki 


  • Bluetooth Driver :- Bluetooth ke liye
  • WiFi driver         :- WiFi ke liye
  • MMC driver         :- Card Reader ke liye
  • Camera Enable   : Camera Active kar ne ke liye

or More

to Enhe Internet par Find karna Download karna fir Install karna humare liye Kafi Parishani ho sakti hai Agar Tum engineer ko Ess kam ke liye bulaoge to bo Tumse Sirfe Driver install karne ke 400 se 500 rupee Le sakta hai !!


to Kyu na hum Ekk trick jan le Jis se hume Kisi bhi tarah ki serial number / Model number ki Jaroorath nahi hogi ! internet par ghanto bitane nahi  jaroorath nahi padegi Aaj me jo Software Share karne Ja raha hu use Istimal karte Sirfe Ekk Click me Computer ya Laptop me Aapne-Aap Sare driver install Ho jayenge ! tumhe bar-bar Software Download Aur Install kar ne ki jaroorth nahi padegi 


 cute+girls


 Computer engineer bhi Esi Software ke IStimal karte sare Driver Install karte Tum se paise nikalte hai ! to Jis Software ki me Bath kar raha hu bo hai ( Driverpack Solution - All in One PC Drivers CD  ) jo tumhe Internet par Aasani se mil jayegi varna Niche Diye huye Link par Click karte Software Download kar sakte ho 

Direct Download ke liye Yaha Click kare

DriverPack Solution 14.2 DVD Edition (iso, 4.37 GB) [Torrent]
 
DriverPack Solution 16.1 Full (iso, Torrent 11.6 GB)


DriverPack Solution 15.12 Full (iso, Torrent 11.5 GB)



Ese simpaly Downlod karo portable Hone ke karan tumhe ese Aapne Computer me install karne ki jarrorth bhi nahi hogi Simple ISO file ko kisi new folder me  Extract karo  aur Folder ko open karo  tumhe Aandar kuch files Dikhenge jis me  tumhe "Driver pack Solution " par Click kar na hai jis se Software hi Aapne -Aap kam karne Lage ga aur tumhare Sare Driver Install kar lega ( na tumhe Kisi internet ki jaroorath hai na kise TRP ki ) bass Ekk Click karo Aur Aaram karo :)


Hindi+me+Driver


Driver Pack Solution pe Click karte hi bo tumhe install Drivers ke liye puche ga Tab Simply Yes kar do ! 10 min me Aapke Sare Driver Aapne-Aapn Install ho jayenge 


screen-1



Tag :- Computer kaise Repair kare , Chip-level in hindi , laptop kaise Repair kare , Window kaise Repiar kare , Hindi me hardware Aur Networking ki Sari jankari

"dosto Aapko Aaj ka post kaise laga ye hume Comment Dwara bataye Aur Aapne dosto tak jaroor share kare :)

7 comments:

  1. 20160727_075949

    Bro..computer me Bluetooth Driver. or
    WiFi driver

    Install karne par kam karega kya

    ReplyDelete
  2. blogger_logo_round_35

    *" No*" Aagr tumhe Computer me Wifi chalu karana hai to tumhe Computer me WIFI Card Lagana Padega ! Aur Bluetooth ke USB Dongal Eske Bina Computer meDriver Dalakar koe Fayada nahi hai

    ReplyDelete
  3. 20160727_075949
  4. blogger_logo_round_35

    aap torrent wala 3 link diye hai kauan sa download karu jo sare pc me kaam kare

    ReplyDelete
  5. blogger_logo_round_35

    tum software koe bhi link se download kar skate ho ! WO kam karega ..

    ReplyDelete
  6. blogger_logo_round_35

    BHAI mere computer me mai driver pack solution install kr rha hu to chipset aa rha hai graphic nhi aa rha plz help 😢😢😢😢

    ReplyDelete
  7. blogger_logo_round_35

    dear agar tumhare computer me Graphic driver install nhi ho raha hai to tum All in one ka latest update use kro ! kyu ki kahi bar aisa ho jata hai ki all in one driver koe 1 driver skip kar deta hair par koe bath nahi hai .tum internet use download kar sakte ho " but all in one driver all wase best way to download computer drivers :)

    ReplyDelete

Humare Website me Aapka Swagat hai !

Home About-us Privacy Policy Contact-us Services
Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates