Dosto Wireless LAN ya Koe bhi Concept jan ne ke Pehle tumhe Uske Term ke bare me pata hona Chahiye to Agar Hum Unke Term ke bare me Jante hai to hum Use Concept ko Bade Aasani se Samaz sakte hai !
to Chalo jante hai Wireless
network Ke bare me
Station:
Wireless LAN me Station Uss Laptop ya Uss Computer Me Laga Hota hai Jis me Ekk Wireless NIC ya Ek Network Interface Card Laga hota hai ! Ye Wireless NIC Aapke Laptop Me laga hua card ya Desktop me laga hua card ya USB Ke dwara Connected bhi Ho sakta hai Lekin Uski capability hona chahiye ki wirelessly communicate kar paye
AP( Access Point )
Access Point Ekk Aise Devices ko bolte hai Jis me Ekk antenna laga hota hai aur LAN se Connected hone ke liye Interface hota hai Jo tumhare Wire Network ko Wireless network se Connect karne me Kam Aata hai Jise hum LAN port bhi bol sakte hai
SSID ( Service Set Identifier )
SSID ( Service Set Identifier )
Dosto SSID Aapke Wireless Network ka Nam hota hai Ye 32 character ko Koe bhi Unique name ho sakta hai ! Aapke jo Wifi Devices hote hai Wo Esi SSID se Aapke Wireless LAN ko Pehchante hai Aur Unse Connect hone ki koshish karte hai
Ad-hoc Network
Ad-hoc Network
Ad-HOC ekk Aisa Network hai jaha par Computer Point-to-point Network Create karte hai Eske liye Kisi infrastructure ki jaroorath nahi hoti hai keval Wireless Network bana ne ke liye jo Devices Required hoti hai Bass yane ki Aapke computer me ya Laptop me Wireless NIC Honi jaroori hai jis ke madat se tumhare network ke Sare Computer Aapas me Communicate kar pate hai !
Manlo ki Meting me Kuch log jama Ho gaye hai Aur Unhe Ekk Chotasa Network create karna hai to wo Create kar sakte hai to Ese Hi Ad-Hoc Network kaha jata hai kyu ki Ese Kisi bhi External devices ki jaroorath nahi hoti hai
Infrastructure Network:
Manlo ki Meting me Kuch log jama Ho gaye hai Aur Unhe Ekk Chotasa Network create karna hai to wo Create kar sakte hai to Ese Hi Ad-Hoc Network kaha jata hai kyu ki Ese Kisi bhi External devices ki jaroorath nahi hoti hai
Infrastructure Network:
Infrastructure Network me Kam se kam Ekk Access point (AP) Istimal kiya jata hai ! AP yane Aapko pehla bhi kaha tha jo Aapke Wire network ko Wireless network me Connect karwatah hai jaise ki Wifi-router
Niche diye Huye image se Aap Jan sakte ho ki ye Ekk Aisa Network hai jaha par 1 Access Point Laga hua hai jis me 1 Antina hai Aur 1 interface hota hai jo humare LAN Segment se connected hota hai Aur ye Antina ke dwara hamre Wireless Network ko ya Unn Computer ya laptop me Jis me WIFI Active ho Usme Internet ki Suvidha deta hai
- Delete File ya Document Kaise Recover kare ?
- Android me Paid Application Free me Kaise Download kare
- Cyber
- office
- pvt Shop
- Coffee Shop
jaha Chote -chote Network hote hai Vaha Direct Internet ki cable Aapke Wifi-Modem me jati hai Aur Vaha Switch ke dwara internet ko Dirstubute kiya jata hai Agar WIFI modem ho to tum Laptop ya Mobileme Bhi Wirelessly Connected ho sakte ho !
Wireless Standard - Wifi
Ki jankari
Humare pass Wireless LAN me Kuch Standard Popular hai 802.11 jo Sabse Pehla Aaya tha Esme Kuch Flever Humare pass hai Jaise ki
- 802.11 b
- 802.11 a
- 802.11 g
- 802.11 n
Enn Sab ke Aalag-Aalag Data Reads Hai
1997 me 802.11 Sabse Pehla Standard Aaya tha Aur Uske badh Esme Improvement Hoti chali gayi Jaise ki
W-LAN
802.11a
802.11a jo 5 GHz frequency ke Upper Work karta hai Aur Ye 54 MBPS tak Data Ko Transfer kar sakta hai ! Lekin Jo Dusare 2.4 GHz wale Network Aapas me Communicate karte hai jaise ki 802.11 b ya 802.11g Enke Sath Ye Standard Incompatible tha Ye hi karan hai ki 802.11a inderstry me kam Popular Raha
W-LAN 802.11b
ye bhi Ekk popular industry Standard bana Aur humare 11 mbps data Transfer ko support karta hai aur 2.4 Ghz Frequency par kam karta hai
W-LAN
802.11g
Ye bhi bahoot Popular Industry Standard hai Aur 54 MBPS tak Data Transfer kar Sakta hai Aur ye 2.4 GHz par Work karta ! Ess Standard ki Sabse badi Advantages ye hi ki ye 802.11 b ke Sath Compatible bhi hai
Enn Sare Standard ke badh humare industry me Kuch improvement ki bath Aayi yane Data transfer speed badhaye jate fir 2009 me humara Naya Standard Aaya jo tha
802.11n
Esme Data Speed 54mbbps se lekar 600 mbps tak Transfer kar sakte hai Enme Multiple Antina Hone ke karan High Speed Provide kar pati hai
Dosto ess tarah Wireless ko Aalag-Aalag standard me bata gaya hai Aur-to Aur Roz marna ke jindagi me WiFi Humare Life ka Sabse Bada Part ban chuka hai ! Uska Sabse Bada Example Humara Mobile phone hai Jo Bina Wire ke Server Se connected hote hai !Kher Wo WAN Network Me Aa Sakte hai !par Jab Tum Gharo me ya Office me Labtop hotspot ke dwara Internet Share karte ho tab hum Unn Services ko mobile me bhi istimal kar sakte hai Jo bina Wire ke hote hai :)
sir mere computer me wifi nahi hai
ReplyDeletei kya kare
Agar Computer me WIFI nahi ho to ! tumhe Computer me WIFI Card Lagana Padega >
ReplyDelete