Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Thursday, 10 March 2016

WordPress Vs Blogger kon sabse Aacha Aur Sasata



Blogger-vs-WordPress


Hi Dosto  Seo and Blogging  in Hindi me Aapka Swagath hai  to  Humara Title padhakar tum Shock Jaroor huye Honge  ki bhai Accha to thik hai par ye Sasta kya to Dosto Aagar Tum WordPress Aur blog-spot ke bare me Kon Behtar Aur Kon Accha aur Sasta jan na Chahate ho to Humara ye post padhte rahe Aur Share karte Rahe 


Dosto WordPress ke Hawale ye mera Pehla Post hai ! Eske Badh Step by Step Post Aate Rahenge Kyu ki  Aapko Pata Hi hai Logonke Dil me Abhi bhi Wordpress ko Lekar Kahi Sawal Aate Rehte hai jaise ki 


  • WordPress kya hai ?
  • Word press Behtar ya Blogspot ?
  • kya WordPress free hai ?
  • WordPress me Plugin kaise istimal karte hai   ?
  • WordPress Secure hai ya nahi 
  • or More 

I know Tumhare Jahan me bhi Ess Tarah ke Sawal Aate Rahenge ! Par Abb Samay hai Solution ka Kyu Ki Hum Aaj Se WordPress ki nayi Series Start kar rahe hai jis me Aapko WordPress ke  hawale Hur jankari Milti Rahegi :) 


Blogger ya WordPress kon Behatar in Hindi


move-from-wordpress



Dosto Humne Good And Bad  Aise 5 -5 Point Dene ki koshish ki jis se Aap Aache se Jankar Aapna Blogger Platform Choose kar sakte ho 
  

Blogger :




1) Easy Template Customization in hindi yane Aap Blogger Ke Template ko Easy li Change aur Edit kar sakte ho  Dosto  Template ' CSS ,HTML,JAVA Script , Xaml ko Istimal kar ke Banaye jate hai  Aur Humara Blogspot Blog Xaml me Banaya jata hai ! to Ye humara Plus Point hai ki Hum Humare Design ke Hisab se blogger ke Template ko Edit Kar sakte hai 


2)Free Web Hosting Forever in hindi yane ki Blogger Tumhe  Unlimited Free Hosting Provide karta hai !tum Jitni chahaiye Uthne Post Publish kar sakte ho Jitne Chahiye uthne File Blogger par Upload kar sakte ho Uske liye tumhe kisi bhi tarah ke Hosting ke liye  Extra Charge Dena nahi padta hai   

3) Free Templates in hindi yane Ki Internet par Blogger ke liye jada tar Templates Free hi hote hai Esiliye Hume Blog ke Templates ke liye paise Invest karne ki jaroorath nahi hoti hai ! Lekin Aap Premium Templates Kharidana Hi Chahate ho to Tum kharidh sakte ho 

4) Very secure in hindi  ka matalab hai ki Blogspot ki Security kafi majbooth hai ! yane Koe chahakar bhi tumhare Blog Ko Hack nahi kar sakta hai ! to Hum Ese Blogger ki Sabse Acchi Khubi Man Sakte hai


5) free full backup Option in hindi yane ki tum Aapne blog ka Pura Backup lekar rakh sakte ho ! Backup ka Mathalab ki Jabhi tumhe Aapne blogger ke kuch changes karna ho ya Tum Chahate ho ki Tumhara Blogger ke Articular ya Images ka Backup hona Jaroorihai to tum Aapne Computer Me Use .XMl File me Le sakte ho Aur Jab Chahaiye Tab fir Se Restore bhi kar sakte ho !


Dosto Blogger Me Enke Siwa Aur Bhi Khasiyat Ho sakti hai Par Mere Nazar se Ye Top 5 me Aa sakte hai ! 





Not SEO Friendly in hindi yane Ki Blogger SEO Friendly nahi hai Bilkul nahi hai Aagar Aapko koe kehta hai Blogger seo Friendly to Ye Galat hai


Not Access to Root Folder in hindi Dosto Root Folder Wo Folder Hote hai jaha Tumhare Blog ke tamam file padi hoti hai ! Uss jagah par tumhe jane ki ijazat nahi hoti hai uska Control Google ke pass Hota hai !


Can Disable Or Delete Your Blog Any Time In Hindi ye Sabse Khatarnak aur Sact Point hai jo tumhare blogger ke sare Acche Point par bhari ho sakta hai Yane Google Tumhare Blog ko Kabhi bhi Disable ya Delete kar sakti hai ! koe vajah ho ya ko vajah na ho fir bhi ! to Dosto Aisa Nahi hai ki Tumhare Blog par lakho Visitor hai Aur Tumhare Blog Aache Ranking par hai to tumhe Kuch problem Nahi hai to Nahi to Aise blog ko bhi Google Delete kar sakta hai !to hum Blogger ki ye sabse badi Kamzori Man sakte hai !


Don't have  Any Trusted Plugins in Hindi yane ki Blogger ke Aandar koe Plugins Nahi hai ! Koe Aisa Application nahi hai jo Tumhare Liye kam kar sake Aapko Hur Kam Manually karna padta hai jis me bhale pura Din na Wast ho jaye !


Don't have Good Customer Support yane Blogger Aapne Customers ke liye  khass SupporBhi Provide nahi karti hai !yane ki Aapko Koe Problem Aayi to Unke forum me Jao Problem Submit  karo Aur Mahino Reply ka intjar karo ! 


WordPress  




Self-Hosted Platform in Hindi  yane Aapki Aapni marji hai !Aap Aapne Hisab se Wordpress me kaise bhi Blog bana sakte ho !WP me Aapke upper Kisi ka control nahi hota hai ! jaise ki blog ko Google control karta hai vaise WordPress me Kuch nahi hota hai Aap hi sab hote hai 


Professional Premium Thems in hindi yane ki WP me Aapko Pro type ki Thems mil sakti jo ki Blogger me Nahi hai yane ki Blogger ki Thems Design ke mamle me WordPress ke Samne Kamzor Ho jate hai ! Yes Tumhe WP ke Thems ko kuch paise dene padte hai par jab Visitor Aapke WP ke Blog par Aate hai tab kehte hai Waaa Design ho to Aisa :)


SEO Friendly Than Blogger in hindi  Dosto WP bahoot jada SEO friendly hai yane blogger ka blog  Search engines me Aane ke liye 1 se 2 mahino le sakta hai Esi tarah WP ka Blog 3 se 4 din me Search engines me Aata hai ! to 
bydefault WordPress Best SEO Friendly hai aur baki ka kam Plugins karti hai !


Thousand of free plugins For every Task in hindi Wp me Hur kam ke liye Chote-chote Plugins hai jis ke vajah se Aap Hur kam Tez bhi kar sakte ho Aur Blogger me Aisa kuch nahi hai :( 


Access to all File and Root Directory in hindi  Dosto ROOT directory wo Directory hoti hai jaha se hum WP ke Tamam File Access karte hai lekin Ye Advantages Blogger me nahi hoti hai hume Google ke bharose hi Rehna padta hai 



WordPress Bad Point  

No Secure yane ke Wp ki Security Google blogger ke Samane Kamzor Gir sakti hai Kyu ki WP ka Sara Control humare Hatho me Hota hai ! Aur Blog ka Google ke pass to WP ke BAD point me Keval Security Problem Hi Aa sakti hai ! Hacker WordPress ke  Root Directory par Attack kar sakta hai Jis se Tumhara Sara Data Wo kahi door bethe-bethe Access kar sakta hai ! to Dosto Eske Bhi kahi Hal hai jo hum Aane wale Post me Discuss karenge 



Abb Sawal Aata hai ki Sabse Aaccha Aur Sasta yane kya ! to Dosto Manlo Ki Tumhne Blogspot par Ekk Blog banaya Uske liye Domain bhi kharida Kuch Dino badh Tumhara Blog Google par bhi Show Hone Laga ! Aur Dhire -Dhire Ranking Bhi Badhne lagi ! Tumhare Pass Adsense ka Account hone ke karan Tumhari Earning bhi Aachi-Khasi Hone Lagi ! Par Kisi Din Tum Blog kholte ho Aur Tumhe Google se Aisa Massege Aata hai ki Your Blog Has Bin Disable to Dosto kya fayada Tumhare Ethne Mehnath ka ! Tumhara Blog bhi Delete ho Gaya , Account bhi Aur Adsense ke lakho Rupee bhi ! to ye Suada Hume Mehnga Gir Sakta hai 


Wordpress Ha Esme Jaroor Pehla Kuch paise  Invest  karne padte hai par Aahe - paise hi Paise Aate bhi haikyu ki Jitni mehanat tum karo ge Uthne Paise Aayenge Aur Blog Deleting ka Dar bhi nahi laga Rahega to ye Soda Humare liye Blogger se Kahi Guna Accha Sabit ho sakta hai!


Dosto Abb Tumpar Diffend karta hai ki Tum Aapne Blog ke liye Konsa Platfourm Select karoge ME Tumhe batana Chahata hu ki Me Google ka Blogspot Istimal karta hu jo Me Bahoot Jaldi Wordpress me Shift karwane wala hu !
 

0 comments:

Post a Comment

Humare Website me Aapka Swagat hai !

Home About-us Privacy Policy Contact-us Services
Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates