Home About-us Privacy Policy Contact-us Services

Thursday 21 April 2016

Laptop Ya desktop ke liye konsa CPU Behtar Intel ya AMD

ad+1

Dosto Agar Aap 1ekk Laptop Ya Desktop Lena Chahate ho Aur Aap Confuse ho ki Processors Intel Ka Ho ya AMD ka to ye Post Padhte Rahe Kyu ki Aaj me tumhe  Aapke Budget Aur Requirement ke Hisab se Suggest karungi ki Aapko Intel Lena Chahaiye ya AMD 





Dosto Ye jo Common Question hai Intel vs AMD Hur Kisi ke Man (मन)me Aata hai .Acsar Muze kahi Viewer ne Puncha bhi Hai ki Aarao hi ji muze Naya Laptop lena hai konsa Processor hona Chahiye AMD ya Intel -



    Dosto ekk Sach Bath Batau Khahi Bar Ekk Buyer (ग्राहक ) New Laptop Ya desktop leta hai tab Use Computer hardware ke part ki jankari hoti jo Use Base par Wo Computer Kharid sake par jab Processors ki bari Aati hai tab CPU ki Janakari Na hone ke karan Shopkeeper(दुकानदार ) Unka Fayada Uthate hai Aur Wo Unko Ekk Galat Product Bhej dete hai ! Badh me Buyer ko Pata Chalata hai ki Unhnone jo System Liya hai Wo Unke Budget  Se Kam Ho Sakta tha ....Use time Buyer  ko Pastane ke siva Koe Aur Rasta nahi hota hai to Tum mere Daily Viewer hone ke karan me nahi Chahati hu ke Mere Viewer ke sarth bhi Aisa ho to 5 minute Nikal ke Aaj ka Post padho Aur Share karo :) to chalo janate hai  Computer ke liye AMD le ya INTEL 

     

    Intel Vs AMD Processors - Which One is better in Hindi 


    Dosto Ess post me ---Me aapko Ye nahi Bata Sakti Hu ki intel ka Ya AMD ka Ye Specify Model tumhe Lena Chahiye ya nahi Kyu ki Eske liye Aapko Bahoot si Bathe Dhyan me Rakhana Jaroorui hai Chahaiye Hum Bath karte hai Uske Layout-Architecture ya Uske Technology  ki to Dosto Ye Sab Comparison hai jo Aapko Aur Jada Confuse kar degi  to me Aapko Simple Aur Saral Bhasha (भाषा) me  Bataungi  Jiska Aapko Jaroor Fayada Hoga :) 



    Intel aur AMD ke Bich me hum 3 Points par bathe karenge Jo hai

    • Price
    • Power
    • Performance 
    Processors Price in Hindi

    Dosto Hum Agar price ki bath kare to Aap Sabiko Pata hai ki Intel ke Processors AMD ke Comparison(मुकाबले ) Thode se Mehnage hote hai -Aur AMD ke Saste

    to Aap INTEL ke processors kam Price me dekhne Jaoge to tumhe Uthani Aachi Performance nahi milegi -Compare AMD  


    Agar Aap AMD le Rahe ho to Chaihiye Aap Laptop ki bath kare ya desktop ki AMD tumhe ek Badhiya Chip-Set Provide karti hai  ! to Aap ne Soch liya hai Ki Ekk Naya Laptop Le Jo 20,000 se Lekar 25,000 ke bich me ho to Tumhe AMD ka Option Best hai Compare INTEL ke Ya Tum  Naya Computer bhi Assemble karna Chahate ho Jo Kam price me Accha Performance de to Tum AMD processor ko chun (चुन ) sakte ho 


    Processors Consume Power In Hindi

    CPU Power Consume ke Mamale me Sab oolta ho jata hai Yane  AMD Processor Intel ke Mukabale jyada Power consume karta hai Kyu ki Intel ka voltage jo bahoot kam hota hai kariban 50% ke Asa-pass  Aur AMD ke Chip me Voltage jyada hoti hai 


    to Aap Ekk Laptop Kharidna Chahate ho Aur apko Long Life Battery Backup Chahiye to Me Aapko Intel ka CPU lene ke liye Suggest karungi kyu Ki Aap 25k ka AMD le rahe ho to 3 se 4 K Extra Dalkar Tumhe Accha Power Consume Laptop Milega Jo Ekk Behtar battery backup dega   

    Agar Hum Bath kare Computer (desktop) ki to Esme Koe Battery Nahi hoti hai hai bass Thoda sa lite bill jada Aayega -par Intel ke compare AMD Aapko Sasta bhi Aur Aacha bhi Milega 


    Performance in Hindi 

    Dosto aagar Aap Soch rahe hai ki High Level ka PC Build kare Ya Laptop kharide jaise ki 50k - 60k -70k -to Aise me Samzadari (समजदारी ) Esi me hi hai ki 1 Intel Based PC Build kare  kyu ki Apko Performance Milti hai Use level me Jakar Wo AMD se kahi Guna Acchi Hoti hai 

    Desktop Se Agar Tum CPU ko Change karna Chahate ho AMD ke Compare Intel ke Kafi Processor hai  Jise tum Update kar sakte ho par AMD me ethne Sare option mil nahi pate hai 

    Software ki bath kare  jaise ki Aap ko Computer ya Laptop Higher Program jaise ki Audio -Video editing -ya Graphic related Koe Kam Karna hai to AMD ke Se behtar Ess Segment me tumhe Intel ka Laptop ya Desktop Accha Performance  Provide karega 

    Aur Dekha Jaye to Market me 40,000 ke upeer Sabhi Laptop  me Intel ka Hi CPU laga Hota hai Aapko AMD ka Option milta hi nahi hai 

    Desktop(PC) ke bare me Bath kare  to Aapko Gaming karni hai to Aap AMD ka Processor Le sakte ho -Kyu ki Lower Segment( kam Price) me bhi AMD tumhe Gaming ka Accha experience deta hai Compare Intel Graphic CPU 
       
     
    Dosto Me Aapko Jyada confuse karna  nahi Chahati hu Esiliye Simpal aur Short post me Samzane ki Koshish ki hai Agar tumhe Laptop Ya Desktop Lene me koe bhi parishani ho to muze Niche Comment karna Me Aapki Parishani door karne ki Jaroor koshish karungi :)  

    Tag

    laptop repair ,Computer repair ,Motherboard Chip-level in hindi Networking ,Mobile trick in hindi ,Computer And mobile Tips in hindi , Internet ,SEO keyword ,Blogging tips in Hindi 
     

    0 comments:

    Post a Comment

    Humare Website me Aapka Swagat hai !

    Home About-us Privacy Policy Contact-us Services
    Copyright © 2014 Computer ki puri jankari hindi me | All Rights Reserved. Design By Blogger Templates | Distributed By Gooyaabi Templates